Nirbhaya
is no more. Kaun hai jimmedar in sabke liye? Hum, hamara samaj, films, surakchha
vavyastha, sirf ye hi? Nahi sirf ye hi nahi ,hamara parivar, parivar se mile
sanskar bhi iske liye jimedar hai.Aaj bhi hamare desh mein bete ke janm pe
ladoo baate jate hai aur beti ke janm pe matami surat banai jati hai, par aage
chal ke kya hota hai. Koi beta aisi galat harkat kar jata hai jis se pura
khandan, pura samaj, yahan tak ki pura desh sharmsar ho jata hai. Maa ke chdhaye
huye prasad , bante huye laddoon ki mithash kahan chali jati hai, bujurgon ka
aashirvad kyun nahi kam aata? Kaash ki un sabke saath sanskaron ki ghhutti bhi
thodi si chadha di hoti ki beta badi badi degree le lene se tu aadmi to ban
jayega lekin jis ki degree tujhe kisi bhi college ya university mein nahi
milegi lekin jo jivan ki sabse mahatavpurn shiksha hai who hai tere ghar ke
sanskar, maa ki seekh. Kyon nahi maa ,dadi nani ne apni lorion me gaya aur gati
ki har ek ladki ,har ek aurat ki ijjat karna,kyon nahi ek pita apne ladle ko apne kandho per baitha kar
ghumate huye yeh sikhte ki kabhi kuchh aisha mat karna jis se hamara sar sabke
samne jhuk jaye,hamesha maryada mein rehna.Aaj bhi bahut se kasbe aise hai
jahan aaj bhi ladkion ko college nahi bheja jata per dusri taraf harek parivar
ye kahta hai ki hamare ghar ke ladke toh bahut sanskari hai .Kya yeh kuchh ajib nahi lagata?Jab sab
sanskari hai to phir kyon nahi ladkiya aajadi ki saans le pati. Nahi sab kuchh
thik nahi hai, tabhi to na jane kitni NIRBHYA bhay ke saye main jiti hai, katni
NIRBHAYA ko anhoni ka shikar banna padta hai. Aaj ki filmein bhi kam jimmedar
nahi hai in sab ke liye. Kya filmi kalakar khud apni film apne parivar ke saath
baith kar dekh sakte hai? Aaj hum un filmon ke naam apni ungli per gin sakte hai
jinhe hum apne pure parivar ke saath baith kar dekh sakate hai , aur filme hi
kyon ab to TV bhi isse bacha hua nahi hai. Kala aur manoranjan ke nam per jo
kuchh bhi ho raha hai uss ko badlne ki jaroorat hai. Aur sabse jarrori hai un
purushon ko apni soch badalne ki jo yeh haiwaniyat ka khel khel rahen hai kyon
ki ab samaj jag chuka hai. Ab aise bhediyon ko kisi bhi kimat per maaf nahi
kiya jaana chahiye. Maa apne bete ki galti per use usi waqt sambhal le, bachpan
ki sikh hi use baki puri jindagi usse INSAAN banay rakhegi. TU BHI EK AURAT HAI
MAA, NIRBHYA KA DARD MAHSUS KAR LE.
No comments:
Post a Comment